Wednesday, September 3, 2008

Neend mein aaram kahan, neend hai faqat
subahdam uthe hain vahi dil o haalat liye

Khushi se khush hun, par yakeeN kahan se laun
ja banata hai gam dil mein eise sawalaat liye

Azal

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape
Zamin kam, zakhmi pair, jaata bhi to kahan
rahguzar par bait kar zeest ko aajmaya maine
Bistar ke aaram mein rooh ko araam kahan
neend behoshi hai, aakhon mein khwaab kahan

Dekh lo tum bhi ise kehte hai aachi zindagi
shab o sehar ek hai shikayaton ka waqt kahan

din ke ujale mein taqat e didar chup gayi
aks hee aks dikten hain vo tamam log kahan

yun zubaane khul gayee kehne ko kya baaqi raha
vo aakhon kee guftgooN vo chand alfaaz kahan

Tanha hai shayar tanha hai shayari
badla sab kuch par ham mein badlav kahan

Azal