Monday, July 28, 2008

Na pa ke tujhe, har lamha paya kis kadr
Manzil pehchanta nahin, doondta hun kis kadr

Hastee huee bojhal ishhara dikhe bas khuda ka
Jeene ka sahara ye ishara musibat hai kis kadr

Isi goshe kee hai meri zindagi, ya kuch kahin aur
Gum hun kahmosh hun teri duniya mein kis kadar

Kehta raha ke jaanta hun zamane ko magar
Gum ab bhi rula jaate hain mujhe kis kadr

Sadiyon purani barsaat nayee hai kis kadr
Tu vahi tera har andaaz hai naya kis kadr

Faqat ahsaas raha, soch tak nahin ke bayaN ho
Baitha hai teri bazm mein ’azal’ maun kis kadr

Azal
Kabhi be vajah yaad kiya karo
Kabhi bina kaam kee baat karo

Kaho, kuch nahin hai kehne ko
Sirf peene ko kabhi mila karo

Pet se nahin judi har shei yaron
Kabhi anjaam se aagaaz karo

Matlab dosti ka jama pehne, afsos
Behtar azal, begair doston ke jiya karo

Azal